संदेश

Hal Shashthi Puja: Maa Shashthi Ki Bhakti Aur Matritva Ka Parv

चित्र
Introduction:   Hal Shashthi, jise Har Chhath ya Lalahi Chhath bhi kaha jata hai, ek mahatvapurn Hindu tyohar hai jo Uttar Bharat, khaaskar Uttar Pradesh, Bihar, aur Jharkhand mein manaya jata hai. Yeh tyohar Bhadrapad maas ke Krishna Paksha ke chhathve din (Shashthi) ko manaya jata hai aur yeh poora din Maa Shashthi ki pooja aur bhakti ke liye samarpit hota hai. Maa Shashthi ko bachchon ki rakshak aur matritva aur utpaadakta ki devi mana jata hai. Hal Shashthi Ka Mahatva:   Yeh tyohar vishesh roop se un mahilaon ke liye bahut mahatvapurn hota hai jo maa hain ya maa banne wali hain. Aisa mana jata hai ki Hal Shashthi vrat rakhne se maa apne bachchon ki lambi umar aur achhe swasthya ke liye Maa Shashthi se ashirwad prapt kar sakti hain. Is din ko bachchon ki suraksha, unki bimariyon se raksha, aur unke vikas mein aane wali rukavaton ko door karne ke liye bhi manaya jata hai. Maa Shashthi ko bachpan aur bachchon ke kalyan ki devi mana jata hai. Unka pooja...

Coord Sets: Trendy, Versatile, aur Effortlessly Stylish!

चित्र
Introduction -  Fashion hamesha badalta rahta hai aur season ke according apne comfort zone me kuch stylish mil jaye to ye to sone pe suhaga ho jayega. Is samay sabse jyada jo trend men hai wo hai co ord set.   Coord sets kya hoti hain, aur ye itni popular kyun hain? Aaj kal ke fashion trends mein, coord sets ek must-have ban chuki hain. Yeh na sirf stylish lagti hain, balki easy bhi hoti hain—perfect for har occasions. 1. Coord Sets Kya Hain?- - Coord sets, jise matching sets bhi kehte hain, wo outfits hote hain jisme top aur bottom perfectly coordinated hote hain. - Har tarah ke styles mein milte hain—from casual loungewear to formal wear. Aapko har occasion ke liye ek perfect coord set mil jaayega. 2. Coord Sets Kyu Zaroori Hain?- -Effertless Style:  Jab aapke paas coord set hota hai, toh aapko sochna hi nahi padta. Bas pehno aur stylish dikho! - Versatility:  Ye sets har occasion ke liye perfect hote hain. Chahe brunch ho, office ho, ya ...

Udaipur: Jheelon Ka Sheher, Rajwadi Virasat Aur Rangin Bazaar

चित्र
class="separator" style="clear: both; text-align: center;"> Udaipur - Ek Rajwadi Safar: Namaskar dosto! Aaj hum Udaipur ki khoj mein nikalne waale hain, jise hum "Jheelon Ka Sheher" bhi kehte hain. Udaipur, Rajasthan ka ek anokha nagar hai jo apne saundary aur virasat ke liye mashhoor hai. Jheelon Ki Baat Kuch Aur Hai: Udaipur ke pramukh roop se Fatehsagar, Pichola, aur Udai Sagar jaise kai sundar jheelon ke karan prasiddh hai. Fatehsagar Lake ka sundar saundarya aur Pichola Lake ka mahaul kuch khaas hai, jismein ghanto tak boat ride ka anand liya ja sakta hai. Rajwadi Virasat Ka Swaad: Udaipur ka itihaas bhara pada hai rajwade aur rajgharane se. City Palace, Lake Palace, aur Jag Mandir aapko yeh anubhav karne ka avsar dete hain ki kis tarah ke raja-maharaja yahan rehte the. In mahal-mandiron mein ghoom kar aapko woh samay mehsoos hoga, jab yahan ki zameen par shasakon ki raajneeti chalti thi. ...

Jodhpur: Where History Meets Majesty

चित्र
Introduction: Agar aap jaipur ghumne ke liye ja rahe hain to ek baar jodhpur jarur jaye. Rajasthan ka culture aur vibe ke liye jodhpur best place hai. Jaipur se jodhpur jane ke bahut sare transport hai lekin agar aap family aur friends ke sath hain to aap apne comfort aur budget ke according car rent par le sakte hain. Jisse apka safar aasan ho jayega aur aap rajasthan ko achhe se explore kar payenge. Jodhpur ka culture aur dishes aur market sabkuch pure rajasthan ki vibe deta hai. Pushkar:   Jaipur se jodhpur ke raste me pushkar sheher padta hai jahan duniya ka eklauta Brahma Ji ka mandir sthit hai sath hi pushkar sarovar jo Brahma ji ka hi ek rup hai. Ek bar yaha darshan karne jarur jaye.                Pushkar sarovar              Brahma Ji ki mandir  Jodhpur: Agar aap rajasthan ka culture dekhna chahte hai to jodhpur visit kare. Ek purana sheher jo ki bahut hi khubsurat hai....

Pink City Jaipur: Rangon ka Melting Pot

चित्र
Introduction:  Jaipur ye naam sunte hi sabse pahle sabhi ke dimag men ek hi bat aati hai wo hai "pink city". Jaipur aur pink city ek dusre ke paryayvachi ban chuke hain. Agar aap bhi is winter season kahi ghumne jane ka plan bana rahe hain to mera suggestion hoga ki ek bar Rajasthan Trip plan kariye. Family aur bachcho ke sath ye ek perfect destination ho sakta hai. History of Jaipur:   Jaipur ek historical place hai. Yaha par bahut sare fort hai jo rajput rajaon ka rajya tha. 1876 men Raja Sawai Ram Singh ne England ki maharani queen elizabeth ke swagat men pure shahar ko pink colour me paint karwa diye the isi wajah se Jaipur ka naam pink city ho gaya. Fort to see:   Yaha par bahut sare fort hai aur places hai jaha aap visit kar sakte hain. Sabhi jagah ko explore karne ke liye 2-3 days chahiye hote hain.   Jaipur mein ghumne ke liye kai prasiddh sthal hain: 1. Hawa Mahal:  Yeh shehar ka ek iconic bhawan hai jise "Hawa" yaani hawa ke dwara shitalit kiya ga...

Traveling with kids: Packing ka perfect plan

चित्र
Introduction: Safar ka anand lene mein bachche hamesha shamil hote hain, lekin unke saath travel karne ke liye taiyar rehna bhi zaroori hai. Yahan kuch tips hain jo aapki packing mein madad karenge: 1. Bachchon ka Essential List:     - Kapde:  Ek din ke extra kapde lekar chalein, kyunki bachchon ka khelna toh kabhi bhi shuru ho sakta hai!   - Diapers/ Underwear:  Agar chhote bachche hain toh diapers zaroori hain. Bade bachchon ke liye underwear bhi na bhulein.   - Snacks:  Bachchon ke favorite snacks lekar chalein, taki bhookh ke waqt aap taiyar rahein. 2. First Aid Kit:    - Basic medicines jaise ki fever, cold, aur stomachache ke liye.    - Bachchon ke regular medicines ka stock lein. 3. Entertainment:    - Books, coloring books, aur crayons lekar chalein.    - Favorite toys: Bachchon ke pasandida khilone saath mein rakhna na bhulein. Jisse bacche jab bhi pareshan ho to wo apne favourite khilone se ...

Apne man ko khush rakhne ke 10 tareeke

चित्र
Introduction: aaj kal ki vyastata bhari life men khud ke liye samay nikalna aur apne man ko khush rakhna bahut jaruri hai. Aaj mai apke liye apne man ko khush rakhne ke liye kuch idea lekar aayi hu jise aap try kar sakte hain. 1. Smile ki Importance:  Har roz muskurana na bhulein, kyunki muskurahat aapko khushi mehsoos karne mein madad karegi. 2. Swasthya Par Dhyan:  Aapka swasthya aapki khushi ka ek mahatva purna hissa hai. Sahi khanpan aur vyayam se apne sharir ka khayal rakhein. 3. Gratitude Diary:  Har din, aapne kya achha mahsoos kiya uska note rakhein. Yeh aapko positive aur grateful banaye rakhega. 4. Apne Interest Mein Busy Rahen:  Jo aapko pasand hai, usme samay bitayein. Kuch alag karein, jisse aapko anand mile. 5. Sammaan Aur Samvedana:  Dusron ki bhawnaon ko samjhein aur unke sath samvedansheel banein. Isse aapko bhi achha lagega. 6. Manoranjan Ka Samay: Kuch hasi-mazak ya apne pasandida TV show ya movie dekhein. Thoda enterta...