Pink City Jaipur: Rangon ka Melting Pot
Introduction:
Jaipur ye naam sunte hi sabse pahle sabhi ke dimag men ek hi bat aati hai wo hai "pink city". Jaipur aur pink city ek dusre ke paryayvachi ban chuke hain. Agar aap bhi is winter season kahi ghumne jane ka plan bana rahe hain to mera suggestion hoga ki ek bar Rajasthan Trip plan kariye.
Family aur bachcho ke sath ye ek perfect destination ho sakta hai.
History of Jaipur:
Jaipur ek historical place hai. Yaha par bahut sare fort hai jo rajput rajaon ka rajya tha. 1876 men Raja Sawai Ram Singh ne England ki maharani queen elizabeth ke swagat men pure shahar ko pink colour me paint karwa diye the isi wajah se Jaipur ka naam pink city ho gaya.
Fort to see:
Yaha par bahut sare fort hai aur places hai jaha aap visit kar sakte hain. Sabhi jagah ko explore karne ke liye 2-3 days chahiye hote hain.
Jaipur mein ghumne ke liye kai prasiddh sthal hain:
1. Hawa Mahal: Yeh shehar ka ek iconic bhawan hai jise "Hawa" yaani hawa ke dwara shitalit kiya gaya hai. Ismein 953 chhajje hain jo mahilayon ko purda me rahne ke liye allow karte the. Ye shaher ke bich men hai aur aate jate aap kai bar dekh sakte hain. Rat ke samay lighting hone ke baad ye alag hi nazar aata hai.
2. City palace: Maharaja Sawai Jai Singh II ka rajmahal, City Palace, Shehar Mahal aur Chandra Mahal se milakar bana hai. Yahan aapko shehar ki virasat ka anubhav milega. Yaha abhi bhi raj parivar mahal men rahte hain.
3. Jantar Mantar: Yeh UNESCO World Heritage Site hai aur duniya ke sabse bade prachin yantralayon mein se ek hai. Ismein anek yantra hain jo samay aur akashganga gyan ke liye banaye gaye the.
4. Amber Fort: Jaipur ke bahut hi pass sthit Amer Fort, ek prachin kila hai jise raja Mansingh I ne banwaya tha. Yahan ki kala, sthal, aur rajmudraen aapko prachin Rajasthan ki bhavna ko mahsus karane mein madad karegi. Yahi par purana mahal bhi hai jisme jodhabai aur akbar ki shadi hui thi.
5. Jal Mahal: Sagar mein sthit yeh mahal ek adbhut drishya prastut karta hai. Aap yahan thahar kar shantimayi vatavaran ka anubhav kar sakte hain.
6. Jai Mahal: ye mahal abhi bhi raja ki sampatti hai. Yaha par bahut badi ek tope rakhi hui hai jiski dashahra me Raja ke dwara puja hoti hai. Yaha se jal Mahal bhi dikhayi deta hai.
7. Nahargarh Fort: Shehar ki unchaiyon se Jaipur ka sundar nazara dekhein aur yahan ki virasat ko mahsus karein. Yaha par 9 Mahal hai jo ek hi design ke bane hue hain. Ye sabhi mahal alag alag 9 raniyon ke liye banwaye gaye the.
8. Sheesh Mahal:
Ye Nahargarh Fort me hi hai. Kaanch ke tukdo se bana hua ye ek room hai jo bahut hi khubsurat tarike se design kiya gaya hai.
Shopping:
Jaipur mein shopping ke liye bhi anek sthal hain, jaise ki Johari Bazaar aur Bapu Bazaar, jahan aap sthaniya kala evam sanskriti se jud sakte hain. Agar aap wholesale men kharidari karna chahte hain to aap purohit ji ka katla Market explore kar sakte hain.
Jaipur me bandhani, lahariya, block print ye sabhi famous hai jo aap kharid sakte hain. Sath hi lakh ki chudiyan jutti aur blue pot bhi kharidne layak hai.
Special dishes:
Rajasthan ka famous dish "dal bati churma" aap jarur se try karein. Iske sath hi pyaj ki kachori, samosa, icecream, pani batasha aur bhi bahut sari chijen hain jo aap try kar sakte hain.
Conclusion:
Agar aap is winter season friends ya family ke sath koi trip plan kar rahe hai to aap Jaipur ghumne ja sakte hain apko regret nahi hoga.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें