How to wear saree: Step by step
Introduction:
Saree ek traditional aur elegant attire hai jisko aap kabhi bhi aur kahi bhi pahan sakte hain. Shadi se lekar party tak aur festival se lekar office tak ya fir ghar par. Ye har occasion aur har situation ke liye perfect hoti hai. Saree ke colour, fabric, design aur accessories se saree ko har bar ek naya look de sakte hai.
Saree drape karna ek art hai aur ye dhire dhire practice karne se aa jata hai. Aap bhi saree drape karna sikhe is blog men step by step saree draping bataya jayega.
Step 1: Required materials:
Sabse pahle saree wear karne ke liye sabhi chijon ko ek sath collect kar lijiye isse kisi bhi chij ke liye bich men pareshan nahi hona padega. Ye saman kuchh aise hai -
1. Saree
2. Matching peticoat ya underskirt ya saree shapewear
3. Matching ya contrast blouse
4. Safety pins ( some big size, some small size)
5. Jewellery, bangles and accessories
Step 2: Choose the right footwear:
Apne comfort ke according footwear choose kare jo apke saree ko complement kare. Heels, flats ya jutti kuch bhi wear kar sakte hai.
Step 3: Wear the peticoat:
Sabse pahle peticoat ko wear karen. Agar aap net fabric ya aise hi kisi transparent fabric ki saree wear kar rahe hai to saree shapewear, underskirt ya fir satin fabric ka peticoat stitch karwa kar pahane. Isse saree ka look acha aata hai. Silk, cotton, georgette jaise bhari fabric ko cotton petticoat ke sath wear karen. Peticoat ko apne waist area me tight but comfortable tarike se bandh le.
Step 4: Saree draping:
Peticoat ke upar right side se ek round saree waist ke arround lapet le. Ab saree ke pallu side ko shoulder par rakh kar knee length tak ka measure kar le aur bachi hui saree se pleats banana shuru karen.
Step 5: Making pleats:
Saree ke right side se pleats shuru karenge aur first pleat ko left side bust ke niche se banayenge aur ek ke bad ek pleats banayenge . Pleats banane ke liye thumb aur middle finger se saree hold karenge aur index finger me lapet kar bade size ke pleat banayenge.
Step 6: Arranging the pleats
Upar side ke pleats ko safety pin se secure kar de aur ek chair me baith kar niche side se pleats ko arrange kare. Ab upar ke pleats ko peticoat ke ander apne height ke according tuck kar le aur pleats me lage safety pin se peticoat ke sath secure kar len.
Step 7: Drape the pallu:
Saree ko shoulder se pleats karke arrange karenge aur acche se set karke blouse ke sath safety pin se secure kar denge. Front side se pleats ko set karke neat and clean look dege.
Step 8: Final Adjustment:
Saree ko acche se clean look dege aur agar waist ke right side me saree fabric bacha hua ho to usko khich kar pichhe se left side me pallu ke andar tuck kar lenge.
Accessories:
Bangles, earrings aur necklace se look ko complete kare. Sath hi aap chahe to belt aur broch se bhi styling kar sakte hain.
Conclusion: Ye saree ka basic draping ka step by step style tha aap kai bar practice karke perfection la sakte hai.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें