Online Shopping kaise kare? easy tips for Shopping.
Introduction - Online Shopping aaj kal har koi karte hain aur ye hamari life ko bahut easy bhi kar diya hai. Aap ghar par baithe hi apne pasand ki chijen badi hi aasani se kharid sakte hai. Lekin logo ko aksar online shopping karne me pareshani hoti hai aur unka experience achha nahi hota hai. Isliye wo next time shopping karne me sahaj mahsus nahi karte hain lekin aaj mai apke liye kuch basic chijen bataungi jisse aap achhe product kharid payenge.
Online shopping karne ke liye aap niche diye gaye steps follow kar sakte hain:
1. Device aur internet connection:
Online shopping ke liye aapko ek smartphone, computer, ya tablet ki jarurat hoti hai. Jo aaj kal sabhi logon ke paas hota hai. Saath hi aapka internet connection bhi stable hona chahiye.
2. Online retailer choose kare:
Aapko kisi trusted online shopping website ya app ko chunna hoga, jaise Amazon, Flipkart, Myntra, ya anya popular e-commerce platforms. In sabhi application ko aap google play store se easily download kar lein.
3. Account create kare:
Agar aapne pehle se account nahi banaya hai, toh aapko apne naam, email address, mobile number, aur address ke saath ek account create karna hoga.
4. Product search kare:
Apko jo bhi product purchase karna ho usko search bar me type karke, image upload karke ya categories se select karke dhund sakte hain.
5. Product select kare:
Aap product ki details (jaise agar koi dress kharidna hai to uska design,fabric, size, colour in sabke liye filter laga kar search kare.) price, aur reviews check karke usko select kare. Iske sath hi product ke retailer ki bhi rating dekhen aur yah bhi dekhen ki us product pe return ya exchange ka kya rule hai aur agar koi electronic product hai to uska guarantee, warranty check karne ke baad product select kare.
6. Add to cart:
Selected product ko add to cart option (shopping bag) me add kare. Jisse bad me bhi kabhi bhi aap select kiye huye item ko checkout kar sakein.
7. Shipping Address Add Kare:
Apne product ko kahan deliver karna hai, woh address add kare. Address aap carefully enter karein (pincode k sath) kyuki delivery ke waqt apke sabhi saman isi address me deliver honge.
8. Payment Options Choose Kare:
Aap apne convenience ke according payment method select kare, jaise debit/credit card, net banking, UPI, ya COD (Cash on Delivery).
9. Place order:
Payment complete hone ke baad, "Place Order" ya "Buy Now" button par click kare.
10. Order Confirmation:
Aapko ek confirmation message ya email receive hoga, jisme aapka order number aur details hongi.
11. Tracking:
Aap apne order ko track kar sakte hain, jisse pata chalega ki aapka product kab tak aayega.
12. Delivery:
Aapka product aapke diye gaye address par deliver kiya jayega.
13. Product open kare:
Kabhi kabhi galat product recieve ho jata hai aur use return karna padta hai. Return karne me koi pareshani na ho iske liye aap product open karte samay video record kare jisse agar wrong ya defected product recieve hua hai to use asani se return Kiya ja sake.
14. Product ka review likhe:
Product ka review likhe jisse kisi bhi other costumer ko product kharidane me asani ho.
Conclusion:
Is tarah se aap online shopping kar sakte hain. Dhyan rahe ki aap sirf trusted websites aur apps ka istemal kare aur payment details ko secure rakhe.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें