Jodhpur: Where History Meets Majesty
Introduction:
Agar aap jaipur ghumne ke liye ja rahe hain to ek baar jodhpur jarur jaye. Rajasthan ka culture aur vibe ke liye jodhpur best place hai. Jaipur se jodhpur jane ke bahut sare transport hai lekin agar aap family aur friends ke sath hain to aap apne comfort aur budget ke according car rent par le sakte hain. Jisse apka safar aasan ho jayega aur aap rajasthan ko achhe se explore kar payenge. Jodhpur ka culture aur dishes aur market sabkuch pure rajasthan ki vibe deta hai.
Pushkar:
Jaipur se jodhpur ke raste me pushkar sheher padta hai jahan duniya ka eklauta Brahma Ji ka mandir sthit hai sath hi pushkar sarovar jo Brahma ji ka hi ek rup hai. Ek bar yaha darshan karne jarur jaye.
Jodhpur: Agar aap rajasthan ka culture dekhna chahte hai to jodhpur visit kare.
Ek purana sheher jo ki bahut hi khubsurat hai.
Umaid bhawan palace: Ye ek India ka sabse luxury hotel hai sath hi isme ek museum hai. Bahut sunder garden aur sath hi vintage cars ka collection bhi hai.
Agar aap phototherapy ka shauk rakhte hai to ye best place ho sakta hai. Yaha ka location picture perfect hai.
Mehrangarh Fort: Rajasthan ke sabse sunder fort me se ek hai. Mehrangarh Fort, Jodhpur mein sthit hai aur ye desh ke sabse bade qile mein se ek hai. Ye ek 410 feet uncha pahaad par sthit hai aur neeche sheher ki ek khoobsurat panoramic view dikhata hai. Yahaan kuch mahatvapurn tathy hain:
1. Itihasik Mahatva:
Mehrangarh Fort ko 1459 mein Rao Jodha ne banaya tha. Isne samay ke saath bahut saara itihas dekha hai aur isne kshetra ki raksha mein mahatva purna bhumika nibhai hai.
2. Vastukala Ka Karishma:
Fort ki vastukala prabhavit hai, jisme Rajputana aur Mughal shaili ka mel hai. Fort ke andar ki bhariya nakashiyan, vishaal chhatris, aur sajavati mahal, ye sab us samay ki maharani dharohar ko dikhati hain.
3. Fort Ke Andar Ke Mahal:
Fort mein kai sundar mahal hain, jaise ki Moti Mahal (Moti Mahal), Phool Mahal (Phool Mahal), Sheesha Mahal (Sheesha Mahal), aur Zenana Deodi, jo har ek ki alag-alag vastukala aur itihas ko darshate hain.
4. Sangrahalay:
Mehrangarh Fort mein ek sangrahalay bhi hai jisme yuddh astr, vastra, chitr, aur rajaon ki palanquin jaise vastuon ki vishaal sangraha dekha ja sakta hai. Ye rathor vansh ki samriddh sanskriti ka ek ansh prastut karta hai.
5. Jaswant Thada:
Fort ke paas, Jaswant Singh II ki smriti mein bana ek cenotaph, Jaswant Thada hai. Ye sangmarmar ka smarak apni gahri vastukala aur shant vatavaran ke liye prasiddh hai.
6. Ranisar aur Padamsar Talab:
Fort ke samip, do banaye gaye talab hain, Ranisar aur Padamsar, jo ki fort aur as-paas ke kshetron ko jal pradan karne ke liye banaye gaye the.
Dishes: Mirchi vada, kachori, samosa ye sabkuch waha famous hai jo aap try kar sakte hain. Sath bajre ka sogra ya meetha sogra jo ki gud dalkar banta hai iske sath hi panchmel daal aur kacchi haldi ki sabji try karein jo ki authentic rajasthani dish hai. Mithe men ghevar try karein.
Shopping: Jodhpur me ghantaghar market mein shopping karein. Chunri print jodhpur ka speciality hai iske sath hi bandhani, lahariya, aur gotapatti ki saree, poshak, suit aur lehenga le sakte hain. Sath hi rajasthani chuda, jewellery set aur traditional chijen kharid sakte hain. Market ko jitna jyada explore karenge utna hi jyada acchi variety ki chijen milengi.
Conclusion: Jodhpur ghumna ek achha experience ho sakta hai. Yahan bahut jyada bheed bhi nahi hoti aur ek shant vatavaran bhi mil jata hai. Photography ke liye yahan bahut sare location hain.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें