karwa chauth ke liye thali decortication ideas
Introduction - karwa chauth sabhi ladies ke liye bahut special hota hai aur us din ke liye taiyari bhi bahut dinon se shuru ho jati hai fir chahe wo kapde ho ya jewellery ya fir puja ki taiyari.
Aaj mai apke liye karwa chauth ki thali decorate karne ke liye kuch idea lekar aayi hu jisse aap khud se hi ghar par thali decorate kar sakte hai.
1. Fabric
Thali me red velvet fabric ko thali ke size me round shape me cut kar le. Ab fabric ko glue se chipka de. Andar aur bahar dono side men fabric ko laga de uske sath me red aur golden lace laga de. Sath me kundan ya mirror se work kar sakte hai.
2. Paint
Red paint se thali ko paint kar de fir usme golden colour ka gotta patti lace criss cross me glue se chipka den.
3. Personalized
Thali me paint karke apne aur husband ke naam ke letters chipka den.
Apni shadi ka photo ka poster banwa kar round shape me thali me chipka den.
4. Flower
Thali ko flower se decorate kar sakte hai.
Gende ke phool ki pankhudiyon ko thali me charon side laga den aur center men rose ke phool rakh de.
Conclusion - is karwa chauth aap khud se hi apni thali decorate kare aur ek personal touch de.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें