Latest lehenga designs for festivals and wedding

Introduction - wedding aur festive season aa gaya hai aur aap sabhi ko apne look ko lekar ke bahut sare confusion hoga ki festival me kya pahane ya shaadi aur kisi aur function me kya pahane. Agar aapko bhi kuch samajh nahi aa raha to aap lehenga choose kar sakte hai ye hamesha trend me rahta hai aur rich look deta hai fir chahe wo diwali karwa chauth jaise festival ho ya fir kisi ki shadi, engagement ya haldi, mehendi jaise function ye apko alag look dega. 
     Agar aapko bhi lagta hai ki lehenga apke liye best hai aur aap confuse ho ki is samay kaun sa lehenga trend me hai? aur uska naam kya hai? Kis body type me kaun sa lehenga accha lagega?
     Ye sab confusion agar apko bhi hai to aaj mai apke liye 2023 mein trendy lehenga designs mein kuch aise options lekar aayi hu jo aapko pasand aa sakte hain:

1. A-line Lehenga:
Yeh design har kisi par suit karta hai, isme ek flared skirt hoti hai jo 'A' ki shape ki tarah hoti hai. Agar aap short height ke hai to ye lehenga apke liye best option ho sakta hai. 

2. Crop top lehenga:
Crop tops ko high-waisted lehengas ke sath pair karke aap ek modern aur stylish look pa sakte hain. Agar aap thode healthy hai to ye option apke liye achha ho sakta hai.

3. Anarkali Lehenga:
Lehenga aur Anarkali-style top ka fusion, jo ki elegance aur comfort dono offer karta hai. Is time par bahut jyada trendy hai. Agar apka tummy fat jyada hai to ye apke liye ek achha option ho sakta hai kyuki isme tummy area cover ho jata hai.

4. Floral Print:
Phoolon ki chhap (floral patterns) aksar trend mein rehti hai, jo ek fresh aur vibrant look deta hai. Isko aap organza, chiffon, georgette ya cotton fabric me choose kar sakte hai. Ye chubby girl ke liye bahut achha option rahta hai. Iske print waist line ko highlight karte hai.

5. Pastel colour:
Soft pastel shades jaise ki blush pink, mint green, aur powder blue bhi fashion mein hai. Ye apko party ya engagement ke liye achha option ho sakta hai. Agar apko bright colour achhe nahi lagte to aap aise colour choose kare.

Embellishments:
Embroidery, mirror work, aur sequins se bharpoor designs bhi ek shaandaar aur opulent look pradan kar sakte hain. Ye sabhi body type me acche lagte hain.

7. Cape Lehenga:
Capes ko lehengas ke sath pair karke aap ek unique aur stylish silhouette bana sakte hain. Ye sare hi body type me acha lagta hai aur stylish look deta hai.

8. Off-Shoulder Lehenga:
Off-shoulder cholis ya blouses bhi trend mein hain, jo ek modern touch dete hain.
Agar aap aise dresses pahanne me comfortable hai to aap jarur try kar sakte hai.

Conclusion: Ye kuch trendy lehenga design ideas hai jo aap choose kar sakte hai.
Dhyan rahe ki aap apne sharir ke body type aur personal choice ke according ek lehenga design chunen. 

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Online Shopping kaise kare? easy tips for Shopping.

how to stay warm and stylish

How to wear saree: Step by step