Diwali ke panch din

Introduction: Diwali ka festival India ke sabse bade festivals me se ek hai ye bahut hi dhum dham se pure desh men manaya jata hai. Manyata hai ki bhagwan shriram 14 varshon ka vanvas kaat kar aur Ravan ka vadh karke diwali ke din ayodhya wapas aaye the aur unke swagat ke liye sabhi ayodhya vasiyon ne deepak jalakar swagat kiya tha. 
   Diwali ka festival 5 din tak manaya jata hai aur har din alag alag puja aur manyata hoti hai.
Day:1 Dhanteras
 Ye pahla din hota hai is din kuber bhagwan ki puja hoti hai aur sabhi log is din naye bartan, kapade, gahne aur bhi jarurat ke saman ki kharidari karte hain.

Day:2 Narak Chaturdashi (Chhoti diwali)
 Ye diwali ka dusra din hota hai is din yam devata ki puja hoti hai. Ghar ki saaf safai karke shamko deeya jala kar main gate par rakhte hai aur ek deeya ghar ke bahar south direction me rakhte hai jo ki yam devata ke liye hota hai. Manyata hai ki isse swasthya accha hota hai aur kisi bhi tarah ki health problems nahi hoti hai.
 
Day:3 Diwali 
 Is din ghar par lakshmi ji ki puja hoti hai aur ghar par rangoli banakar toran dwar laga kar ghar ko decorate kiya jata hai sath hi sabhi gharon aur dukanon men deepak jalaya jata hai. Patakhe chalaye jate hai ghar par mithai aur special dishes banaye jate hai aur apne friends aur relatives ko sweets aur gifts dekar best wishes di jati hai.

Day:4 Govardhan Puja 
 Is din govardhan puja hoti hai jisme cow ke gobar se govardhan parvat ki pratima banakar chawal aur daal se parikrama karte hai. Is din bhagwan shrikrishn ko annakut ka bhog lagaya jata hai aur gua mata ki puja ki jati hai. Ya Gau Mata ke prati shradha prakat karne ke liye kiya jata hai.

Day:5 Bhai Dooj
 Ye din bhai bahan ka tyohar hota hai. Is din bahan apne bhai ko tilak laga kar sukh samriddhi ki prapti ke liye prarthana karti hai aur bhai apni bahen ko shagun aur gifts dekar apna aabhar prakat karte hain.


Conclusion: ye 5 din Diwali ke bahut important din hote hai. Har ek din ki alag manyata aur alag puja hoti hai. Diwali khushiyon ka festival hai jisme sabhi din bhagwan se sukh samriddhi aur sehat ki prarthana ki jati hai. Alag alag jagahon par alag tarike se diwali manai jati hai. 

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Online Shopping kaise kare? easy tips for Shopping.

how to stay warm and stylish

How to wear saree: Step by step