latest suit set for women
Introduction:
Salwar suit set indian fashion me hamesha trend me rahta hai. Aap ghar par pahano ya office, shadi, party function ya fir outing ke liye suit har mauke ke liye perfect hota hai. Aaj mai apke liye latest suit ke kuch design lekar aayi hu jo apko stylish aur comfy look dega.
Type of suit set:
Suit set ke bahut sare design market me available hai jo aap choose kar sakte hai:
1. Straight fit kurta with pant:
Long straight kurta jiski length mid calf tak hota hai aur iske sath ankle length pant jiske border pe kurta ke matching lace laga ho. Ye bahut hi sunder aur stylish look deta hai.
2. Nyra cut suit set:
Nyra cut suit party function, shadi ya festival aur outing sabhi ke liye sahi lagta hai. Isme kurta me choti - choti pleats hoti hai iske sath short pant ko match kiya jata hai sath me dupatta carry karke acha look aata hai. Georgette ya cotton ke kurta ko denim jeans ke sath pair kar sakte hai. Ye bahut hi achha continental look deta hai jo outing ke liye stylish look deta hai.
3. Afghani suit set:
Collor neck kurta with Afghani salwar aur dupatta ka set comfortable aur kuch alag look deta hai.
4. Anarkali suit set:
Anarkali suit me kurta ke bahut sare design men cutting aur stitching ki jati hai. Isme A-line kurta, angrakha, umbrella cut, kalidar aur pleated kurta ye sabhi design dale jate hai. Iske sath leggings, ciggerate pant, palazzo aur sharara pant kuch bhi style karke ek achha look de sakte hai.
5. Peplum kurta with sharara:
Peplum kurta short me aur iske sath sharara ya garara pant with dupatta ek party dress look deta hai.
Suit design by yourself:
Readymade suit ki fitting, colour, design apko pasand nahi aata hai aur apke liye budget friendly bhi nahi hai to aap khud se hi apne liye suit design kar sakte hain. Iske liye 2 tarike aap apna sakte hain:
1. Mix and match:
Single kurta ke matching ya contrast colour me pant, sharara, palazzo ya patiala match kare aur uske sath dupatta match kare.
2. Scratch:
Market se apne pasand ke colour, design ka fabric lekar apne fitting aur design ke according dress taiyar karwa sakte hain.
Ye tarika overbudget ho sakta hai lekin bahut hi sunder designer look deta hai. Aap ise try kar sakte hain.
Conclusion:
Suit aap kabhi bhi kisi bhi season aur kisi bhi occasion men pahan sakte hain. Ye hamesha trend me rahta hai aur comfy aur stylish look deta hai. To aap bhi try kariye aur bataiye ki apko kaise suit pasand hai aur aap kis occasion ke liye suit prefer karte hain.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें