skin care routine at home in winter
Introduction: Sardiyon ka mausam aane wala hai, aur is mausam mein apni skin ki care karna zaroori hai. Thand mein skin dry ho jati hai, aur weekly salon jana possible nahi hota hai. Kisi function ya festival ke liye aap salon jakar mehenga facial karwate hain aur fir bhi face par manchaha glow nahi aata hai, isliye ghar par hi skin care karke apni skin ko healthy aur glowing rakhein.
1. Daily face cleaning routine:
Daily 2 time face wash kare jisse face me kisi bhi tarah ki dirt face par nahi rahe aur raat ko sone se pehle cleanser aur toner ka use karein.
2. Moisturizer Ka Istemal:
Sardiyon mein skin dry ho jati hai, isliye ek achha moisturizer use karein. Apni skin type ke according moisturizer choose karna na bhulein.
Apne face ke liye ek achha moisture cream choose karein jo apki skin type ko suit kare.
3. Gungune Pani Se Nahayein:
Thand mein hot water se nahana skin ke liye nuksan dayak ho sakta hai. Gungune pani se nahakar skin ko nuksan se bachayein.
4. Lip Balm Ka Use:
Hontho ki skin bhi sardi mein dry ho jati hai. Aur fatne lag jata hai. Lip balm ka use karke hontho ko mulayam rakhein.
5. Sunscreen Ka use:
Suraj ki kirno se uv rays aati hai jo skin ke liye harmful hota hai. Isliye Sardi mein bhi sunscreen ka use karna na bhulein.
6. Home remedies try karein:
Ghar par aloe vera gel, honey, ya cucumber ka istemal karke bhi skin ki care kar sakte hain.
7. Nutritional Food:
Apni diet mein nutrition aur vitamins se bharpur khana khayein, jo skin ki sehat ke liye important hai.
8. Hydration:
Sardi mein paani ki kami se skin dry ho sakti hai, isliye daily 7-8 glass pani piyein.
Conclusion:
In tarikon ka istemal karke, aap apni skin ko sardiyon mein bhi healthy aur glowing rakhein. Skin care par dhyan dena aapki skin ki sundarta ko banaye rakhega. Apni skin ko bhi sardiyan enjoy karne dein
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें