Saree Ka Khayal Rakhne Ki Tips
Introduction: Saree sabse elegance indian attire hai jo har ek occasion aur mausam ke liye perfect hota hai. Agar saree ka rakh rakhav achhe tarike se kiya jaye to saree ki life badh jaati hai. Aaj main apke liye saree ke rakh rakhav ke liye kuch tips lekar aayi hu. 1. Safai pahle: Apni sarees ko storage mein rakhne se pehle dhyan dein ki ve saaf hain aur koi bhi daag nahi hai. Label par di gayi dekhbhal ki instructions follow karein ya jarurat padhe to kisi professional cleaner se salah lein. 2. Carefully Fold Karein: Sarees ko dhyan se fold karein taki koi crease na bane. Agar saree bhari ho, to fold mein butter paper ya muslin cloth ka istemal karein taki fabric ko friction aur nuksan na ho. 3. Cotton Covers Ka Use Karein: Sarees ko breathable cotton covers mein rakhein taki unhe dhool aur nami se bacha ja sake. Plastic covers ka istemal na karein, kyun ki ve humidity ko trap kar sakte hain aur mildew ka karan ban sakte hain. ...